Wednesday, March 22, 2023

Mukt Ishwar ki Deepawali...

Mukt Ishwar ko Diya kai mayano mein bahut kuch kahta hai. Diya jo Deepawali mein Andhkar ko cheer kar Roshni failata hai. Gyan ka Paryay hai. Wahi diya jo khushi bhi dikhata hai.

Par dhyan de to Diya khud se Roshni ya Prakash nahi failata hai. Roshni Bati se aur Ghee se aati hai par Shrey poor Diye ko diya jaata hai. Kyun?

Iska Ek karan to ye hai ki Diye mein in dono ko Dharan karne ki Kshamta hai. Atah isse Ek bat aur Ujagir hoti hai ki jo Sadguno ko Dharan kar sake wo Prashanshaneey hai. Yahaan Dhyan deene wali baat ye hai ki kewal dharan karna hi Diye ko Prashanshaneey nahi banata parantu samast achi dharan ki hui cheeze jab, Diya Prakash failane ke liye karta hai tab jaa kar wo Diya kehlata hai. Warna bina Roshni kya Diya aur kya Bati.

Is parkar soochne par Diye ka sahi matlab samajh mein aata hai jo ki dena hai yani aapne Sadgoono ko kissi ke Kushi ke liye Istmaal karna,
Haapy Deepawali, chalo thoda jal jaye kissi ke jeevan mein ek kiran banne ko.

No comments: